Pyare Nabi Ki Pyari Nawasi
Shaam Ko Qaidi Ban Ke Chali Hai
Sabr Ki Malka, Zahra (A.S.) Ki Pyari
Shaam Ko Qaidi Ban Ke Chali Hai
Dekh Rahi Hai, Koi To Aaye
Shaana Pakarh Kar Kaash Bithaye
Na Hai Sawaari, Na Hai Imaari
Shaam Ko Qaidi Ban Ke Chali Hai
Bhai, Bhateeje, Bhaanjay, Betay
Saath Watan Se Aayi Thi Le Ke
Haaye Muqaddar! Aaj Akeli
Shaam Ko Qaidi Ban Ke Chali Hai
Beton Ka Sadma, Bhai Pe Kar Ke
Jis Ne Kiye Thay Shukar Ke Sajde
Chhorh Ke Tanha Laash Ko Us Ki
Shaam Ko Qaidi Ban Ke Chali Hai
Jis Ki Kaneezen Niklein Na Bahar
Balwe Mein Laaye Us Ko Sitamgar
Haaye Yeh Ghurbat Binte Ali (A.S.) Ki
Shaam Ko Qaidi Ban Ke Chali Hai
Kitne Hi Qaidi Jis Ne Chhuraye
Aaj Woh Bibi Sar Ko Jhukaaye
Ek Rida Ki Ban Ke Sawali
Shaam Ko Qaidi Ban Ke Chali Hai
Socho Woh Manzar, Sarwar O Rehaan
Bhai Ho Jis Ka Waris-E-Qur’an
Kaise Woh Bibi Ashk Bahaati
Shaam Ko Qaidi Ban Ke Chali Hai
پیارے نبی کی پیاری نواسی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
صبر کی ملکہ، زہرا (ع) کی پیاری
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
دیکھ رہی ہے، کوئی تو آئے
شانہ پکڑ کر کاش بٹھائے
نہ ہے سواری، نہ ہے عماری
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
بھائی، بھتیجے، بھانجے، بیٹے
ساتھ وطن سے آئی تھی لے کے
ہائے مقدر! آج اکیلی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
بیٹوں کا صدمہ، بھائی پہ کر کے
جس نے کیے تھے شکر کے سجدے
چھوڑ کے تنہا لاش کو اس کی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
جس کی کنیزیں نکلیں نہ باہر
بلوے میں لائے اس کو ستمگر
ہائے یہ غربت بنتِ علی (ع) کی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
کتنے ہی قیدی جس نے چھوڑے
آج وہ بی بی سر کو جھکائے
ایک ردا کی بن کے سوالی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
سوچو وہ منظر، سرور و ریحان
بھائی ہو جس کا وارثِ قرآن
کیسے وہ بی بی اشک بہاتی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے